Zindagi ruthi mujse maut ne mukh fer liya tere intezaar ne na murda chora na zinda hi... Manga tujhe hi jb bhi jhukaya sir kisi murat k age roya hoga khuda bhi haal dekh mera, ab sochta hun ana nahi agr tujhe to aa jae ye maut hi mulakat to ho kahin yaha na sahi kisi aur duniya me hi sahi?
Mai kisi se kuch nahi kehta, Koi naraz na ho jae is darr se nahi kehta. Kabhi kisi ne samjhe hi nahi jazbaat, Isiliye zahir nahi karta. Tu bhi kahin door chala jaega, Kareeb tere isliye nahi aata. Tu kehta hai, vaade bhi karta hai, Par mai bharosa nahi kar pata. Tujhe pata hai… mai ro bhi nahi pata? Mai kisi se kuch keh nahi pata. Mujhe darr lagta hai khud ko phir na kho dun, Isiliye kisi ko khud se milne hi nahi deta. Mujhe shak nahi, tujhpe yakeen hai; Tu kuch galat mere sath kar nahi sakta. Bharosa karna bhi chahta hun… Par kar nahi pata. Keh liya? Ab suniye… Jaante hain aapko, samajhte hain, Isiliye toh aapke saath rehte hain. Aapko apna saara waqt dete hain, Nahi jaenge kabhi akela chhod ke yeh wada karte hain. Aap bas khush raho... bas itna hi to chahte hain, Kyuki aapse behad mohabbat jo karte hain. Kab tak ateet ko seene se lagaye rakhoge? Chalo na… ek nayi shuruat karte hain. Aap hamara khayal rakho, hum aapka rakhenge, Ek dusre se wada karte hain. ...
Comments
Post a Comment