Skip to main content

Waqt badal raha mujhe.. 🥀

Waqt badal raha mujhe...
Door ja rahi hain yaadein teri,
Dhundhla raha hai chehra tera.
Utar raha hai mujh par svar, nasha tera.
Waqt badal raha hai mujhe...

Zakhm bhar raha mere...
Intezaar khatam ho raha hai tera,
Umeed tere aane ki khatam ho rahi hai,
Khatam ho raha hai jeene ka maqsad mera.
Aage badh raha hoon,
Waqt zakhm bhar raha hai mere.

Tu ateet ban chuka hai mera,
Main shaamil ho raha hoon aaj mein mere...
Ja sakta hai tu azaad main ab har ghadi khayalon se tere,
Zindagi bula rahi hai mujhe.
Tu ateet ban chuka hai mera,
Main shaamil ho raha hoon aaj mein mere.

Explanation - 
Yeh likhavat ek aise insaan ki kahani hai jo dheere-dheere apne dard se bahar nikal raha hai. Pehle uske andar toot-phoot, yaadon ka bojh aur kisi ke chhod kar jaane ka dard hai. “Waqt badal raha mujhe” — yeh line dikhati hai ki halka-hala apne aap mein ek tabdeeli aa rahi hai. Jo chehra kabhi sabse kareeb tha, woh dhundhla padne laga hai, aur jo nasha kabhi mohabbat ka tha, woh utar raha hai.

Phir ek jagah aakar woh apne dard ka hisaab deta hai - zakhm ab bharne lage hain.
Na intezaar baaki hai, na umeed. Jab insaan kisi ka intezaar chhod deta hai, tabhi woh sahi meaning me aage badhna shuru karta hai. Uska jeene ka maksad toot kar bikhar chuka tha, lekin waqt dheere-dheere us par marham lagaa raha hai.

Aakhir me, woh ek bohot gehra sach accept karta hai:
"Tu ab ateet ban chuka hai mera."
Jis insaan ke chakkar me woh toot raha tha, woh ab sirf ek guzar chuki kahani reh gaya hai. Ab writer apne aaj me, apne aap me wapas laut raha hai. Khayalon ki zanjeeron se azaad ho kar zindagi ki awaaz usko dobara bula rahi hai, aur woh is baar us pukaar ko sunn raha hai.

Pura piece ek safar hai:
Tootne se lekar samajhne tak.
Samajhne se lekar chhod dene tak.
Aur chhod dene se lekar phir se jeene tak.

Yeh sirf heartbreak nahi,
yeh khud ko wapas paane ki kahani hai.

You can follow - @soultotext on Instagram to connect with me. 

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Qubool hai?

Mai kisi se kuch nahi kehta, Koi naraz na ho jae is darr se nahi kehta. Kabhi kisi ne samjhe hi nahi jazbaat, Isiliye zahir nahi karta. Tu bhi kahin door chala jaega, Kareeb tere isliye nahi aata. Tu kehta hai, vaade bhi karta hai, Par mai bharosa nahi kar pata. Tujhe pata hai… mai ro bhi nahi pata? Mai kisi se kuch keh nahi pata. Mujhe darr lagta hai khud ko phir na kho dun, Isiliye kisi ko khud se milne hi nahi deta. Mujhe shak nahi, tujhpe yakeen hai; Tu kuch galat mere sath kar nahi sakta. Bharosa karna bhi chahta hun… Par kar nahi pata. Keh liya? Ab suniye… Jaante hain aapko, samajhte hain, Isiliye toh aapke saath rehte hain. Aapko apna saara waqt dete hain, Nahi jaenge kabhi akela chhod ke yeh wada karte hain. Aap bas khush raho... bas itna hi to chahte hain, Kyuki aapse behad mohabbat jo karte hain. Kab tak ateet ko seene se lagaye rakhoge? Chalo na… ek nayi shuruat karte hain. Aap hamara khayal rakho, hum aapka rakhenge, Ek dusre se wada karte hain. ...

Rokleta mujhe?

Aaj hai tu, kal nahi hoga. Sach bataun? Bahut dard hoga. Phir khud se sawaal hoga. Aane na deta kareeb tu, to shayad mera haal na hota. Aaj hai tu, kal bata kaun hoga? Tujhe pata hai na, mujhe dard bahut hoga? Main phir dhoondhunga khamiyan khud mein. Mera phir ro-ro kar bura haal hoga. Aaj to hai tu, bata kal kaun hoga? Jab tujhe pata tha raaste alag hain, to khud ko roka hota. Main aaj naraaz hoon tujhse. Kaash tune sach pehle bataya hota. Jhooth bolta tha na tu ke main tera khaas hoon? Sach bata... aaj main hoon, kal koi aur hoga. Aaj hai tu, kal nahi hoga. Sach keh raha hoon... dard bahut hoga.

lal rang sa kuch lga hai...

Hathon pe lal rang sa kuch lga hai kehte hain khoon lga hai, ayina kahe samne khooni khda hai ktl akhir kiska hua hai zmana kahe vahi.... Jo samne khda hai. Samne hai kon jawab fir vahi k jo swal kr rha hai?